<< CATEGORIES

Question No: 20083 asked by unknown from Pakistan on 3/10/2010 3:43:30 PM

AoA respected mufti saahab aap ne mere Q#19960 main tabeer batye ke istikhara acha hay main sakht uljhan main mubtila ho gye hon istikhara to Allah ki taraf se hota hay phir shadi kion nahi hoi please please meri help karain Allah aap ko jaza dega.

Answer No: 20083

(WA ALAIKUM SALAAM)sis

aap yeh amal kar lain. Ladkion kay roshan mustakbil kay liy yeh amal mujarab hay. Rat ka basi pani itni miqdar main lain jiss say wazo kur sakin subho ladki uss pani per "Sorah-e-Al Imran" ki ayat No. 8 "Rubana La Tuzigh qolobana Bada Izz haditana wa hublana mila dunka" tak parh kar iss kay bad 30 dafa "Ya Fatahao" parahin aour "Rahmatan Innaka auntal wahabo" parh kar ayat mukamal kar lain issi tarq-e-say hath, chehra aour paon dhoin. Lyken pani zamin per na giry kisi baliti ya tab waghira main giry. Aour wo pani kisi kiyari ya aysi jaga jahan kisi ka paon na parhta ho dal dain. Yeh amal haftay main muslsal 3 bar karin. Inshallah! iss say aap ka mustakbil mahfooz ho jay ga aour iss kay sath yeh karin rat sonay say phily 41 dafa "Sorah-e-Ikhlas" parh kar dua karin aour yeh amal 3 months karin. Naghy kay dinoon ko bad main shumar kar lain. Aour chilty phirty "Allah huma khir li wakhtarli" parthtay rain.